card-bg
album-art
logo
Rise Above the Challenge
22
6
Prompt
Generate Rap song which can be played in a party for dance. Use the lyrics: Baahar bhi tumhaare baare mein charche hain. Logon ne mujhko kissa sunaya hai. Koshish pe rukte na kadam iss team ke. Har saal tumne to kar ke dikhaya hai. Sahi tareeke se Kar ke dikhaya hai. Kar ke dikhaya hai. Verse 1 Har subha utth ke hain hote taiyaar. To do list rehti hai sir pe savaar. Family ko baat na samajh mein aati hai. Late ghar aata hai, jaldi chali jaati hai. Nikle hum ghar se phir aaj ye soch ke. Kal se bhi zyaada rahenge aaj bech ke. Bach ke jo humse hain ab tak rahe. Sabko nikaalenge hum khoj khoj ke. Humko sikhaya hai roz sir maarna. Par naa sikhaya hai humko to haarna. Jab apne targets se bhi aage jaayenge. Tab hi to aayegi ek din enfield aur car na. Sapno ke aage na full stop lagaya hai. Kar ke dikhaya hai. Kar ke dikhaya hai. Challenge ke aage naa sir ko jhukaaya hai. Kehte the nahi hoga kar ke dikhaya hai. Verse 2 Ghar bhej diya mujhe ghar pe bula ke. Local train ke dhakke khila ke. Client to karta kabhi haan kabhi naa. Apun hass ke kehta hai main hoon naa. Aap bolo phir kab, uss din aa jaaunga. Policy pe autograph uss din le jaaunga. Khaali haath hum nahi lautenge ghar. Naa ko haan kara ke banenge baazigar. Mummy ko dilaya ek naya smartphone. Papa ki to fatt se badal gayi tone. Maine kaha zara ruko, aapke liye bhi laaya hoon. Aur change hua sab ka drishtikone. Familly ka bhi ab confidence kamaya hai. Kar ke dikhaya hai. Kar ke dikhaya hai. Challenge ke aage naa sir ko jhukaaya hai. Kehte the nahi hoga kar ke dikhaya hai. Verse 3 Client ko jaake dikhaya illustration. Kaha policy se solve honge future frustration. Main jaanta hoon aaj tough lagega tumhein. But easy hoga pe karna bacchon ka education. Ye naa socho ke bechna bas meri majboori hai. Ye samjhaata hoon ki ye tere ko bhi zaroori hai. Ghar pe tumhaari aur office mein mera boss hai. Figital karu ya local karne lagta toss hai. Kahin se bhi kar, chal kissi ka to bhala ho. Chalo policy ke paper pe pen laa ke chala do. Aaj nahi kal, aur kal nahi parso. Dekhte dekhte nikal gaye barso. Par barso laga ke client se rishta banaya hai. Network banaya hai, paseena bahaya hai. Career banaya hai, kar ke dikhaya hai. Challenge ke aage naa sir ko jhukaaya hai. Kehte the nahi hoga kar ke dikhaya hai.
No track available